**Punyaatma: Punyaatma ,Sansaar ki rachna raijada82
**Bhag 1: Punyaatma ki Utpatti aur Sansaar ki Rachna**
Jab Jeevaatma/Punyaatma astitva mein aayi, to iss Jeevaatma/Punyaatma ke chetna se sansaar astitva mein aaya. Jeevatma/Punyaatma samay, sharir aur anya sansarik tatvon se apne chetna ko jod diya.
Punyaatma ne apne chetna ke bhitar mein sansaar banane ke baad, iss sansaar mein kai sukshma Sharirdhari jeev, jantu, sukshma jeev, aur Aatma banayi.
**Bhag 2: Sansaar ki Sthiti aur Manavta ki Utpatti**
Sansaar bahut achhe se phal-phul rahi thi. Jiv-jantu bhi apni jeevan ka anubhav le rahe thei. Punah Punyaatma ne aur ek rachna ki aur Insaani jeev banaya. Ve Insaani roopdhari jeev prarambh mein baki jeevon ke sath apne jeevan ko anubhav karne lage.
**Bhag 3: Manavta ki Bhul aur Punyaatma se Doori**
Punah Punyaatma ne inn Insaani jeevdhari mein chetna ka prasar kiya. Chetna ki prapti hote hi Insaan prakriti ke khilaaf karyon ko karne lage, paidon ko kaatne lage, pahadon ko nast karna aarambh kar diye. Insaan swayam ko hi Bhagwan samajhne lage aur
nar-sanghaar prarambh karne lage.
**Inse bhi man nahin bhara to insaan Punyaatma ki khoj mein nikle.
Shuruaat mein insaan Punyaatma ko keval pujne lage, tatpashchaat apne-apne dharm aur jaat-paat banane lage.
Sansaar ke prarambh mein to Punyaatma jeevon ke sath sidhe sampark karte the, parantu inn karnon se Punyaatma jeevon se sampark karna band kar diya.
Jab nar-sanghaar bahut teji se hone lagi to Punyaatma ne swayam ko jeevon ke man mein chhupa liya aur sansaar ke sabhi jeevon ko swatantrata jeevan jeene ke liye mukt kar diya.
**Tab Se Aaj Tak**
Tab se aaj tak Punyaatma man mein kahi base hai.
**Sawal aur Uttar**
Sawal - Agar Punyaatma ne hame banaya to phir hamari raksha kyun nahin karte?
Uttar - Dekhne ke liye aankhen mile, sunne ke liye kaan aur sochne ke liye buddhi, chetna, sharir ityadi.
agar jeev chahe to khud ki raksha kar sakte hain.
Kya yeh Punyaatma ka vichar aapko pasand aaya?
#raijada82 , raijada82philosophy


Ati sundar
जवाब देंहटाएं